Assalamu Alykum!
Izzat Ma\'aab,, me rozana sub\'h office janey k liye nahata hun.. proper gusul nhi krta,. kia mein gusul ki tarha bila zarurat gusul kr liya krun.. tou mera wudhu ho gya ya alag se wudhu krun??
ya sirf bila gusul (naha lene se) bhi wudhu ho gya??? yani dono surton mein wudhu k bare mein bayan farma dijiay! Jazakumullahu Khyr..
assalamualaikum warahmatullhewabaraktuhoo mera sawal yeh hai ki kiya wazoo me kisi bhi aza ko teen martaba se ziyada dho sakte hain ? aur istanja pak karne ke liye sirf pani se dh lena hi kaafi hai ya dhela bhi lena zaroori hai ?
Assalamu Alykum!
Hazrat sb!
Jesa K aaj kal December ka month h, sardiyon ki aamad aamad h. aisey mein jb kabi subh subh gusl ki hajat hoti h, Bijli band hoti h, (pani thanda hota h, ya taza ya garmam pani mayassar nahi hota) tou kiya is mosam mein thanday pani se gusl krna lazmi h?ya tayammum kr lya jae?? mein ne parha h k agar bimar honey ka andesha ho tayammum kr liya jaye. aap rehnumaiee farma dijiay k iss mosam ka thanda pani (tayammum) ki ri\'ayat mein shamil h ya ni?? sardi tou beher hal lagti he h..
Assalamu Alykum!
agar kisi haan mehman gya hua hun aur ghusal farz ho jaye, aur agar is bat mein sharm mehsoos ho k sub\'h sub\'h gusal kia to mezban ( Bil\'Khusoos mezban ghar ki khwatin) kia sochen gi? tou ki is soorat mein tyamum kr lya jaye ya ghusl he krna lazim ho ga??
Assalamu Alykum!
Thand ki waja se ya pani ki adam dastyabi ki waja se agar ghusal k liye tayamum kr liya. is k ba\'d namaz e fajr masjid mein ada kr li, ghar lota tou pani mayassar tha, socha k tayammum tou kya hua tha, tilawat quran, aur ishraq ada kr k ghusl kr lun ga. ghusal ko mu\'akher kr dene mein koi karahat tou nahi?? aesi soorat mein kia ahkamaat hein?? tayammum ko kitni der tak mu\'akher (qaa\'im) samjha jaye??
Assalamu Alykum!
sardi boht sakht h, aur ghusl wajib ho gya , itni bardasht h k ghusl nahi kr sakta, wudhu kr skta hun. tou kiya wudhu krne k ba\'d namaz ada kr li jaye? ya yahan tyamum krna hi shart h??
Note: ap k jawabat aney mein time 5,6 din lag jatey hein. ho skey tou jald jwab marhamat frma diya kijiay//
Jazakumullahu KKhyr....
Salam mufti sahab.. janab mara yah sawal hay apsay kaya paltu bili (cat) pak hy or kaya iskay kaproun kay sath lag janay say wazo to nahi tot jata or kaya wazo qaim hi rahta hy ? Or kapray paliet napak to nahi hojatay.. janab apkay jawab ka intazar hy mujay
mery dant main derd rehta hay doctor kehta hay keh is per cover lagana hoga to kea dant per ager cover lagaya jaey to wozo aor ghusal ho jata hay.
Allah apko jazaey khair dey ameen.
Assalamu aleekum wa Rahmatullahi Wa Barakatuh.
Agar Pani Ko Paak Karna Ho To Muste Amal Kiya Jata Hai Is Ki Tafsil Janni Thi Aur Muste Amal Ke Liye Kitna Pani Darkar Hota Hai?
Jazakallah Wa Khairah