assalam o liakum mufti sb
qurbani main shiya,, Ahle hadees (wahabi), ya diyobandi ki shirkat sy qurbani ka kiya hukam hy
aur shiya ki shirkat sy gosht ka kiya hukam hy
aur in 3nu frqu k zabeehy ka kiya hukam hy
aur in 3nu ko qurbani k gosht deny ka kiya hukam hy
wazahat farma den shukrya
(Assalam o alikum mufti sab )
kiya gaun waly apni qurbani ki khalun sy sary mil kar masjid k liye ya (Alim e deen) imam k liye ya apny gaun k liye kitabun ki libryri bana sakty hain agr imam ko kitaben ly k den to wo masjid ki milk hun gi ya imam ki milk
aur bgair ashad zroorat k kiya khalen msjid main lagany k liye heela kar sakty hain
shukrya
(Assalam o alikum mufti sb)
takbeerat e tashreeq farzun k foran baad zrori hain
sawal ye hy k kiya salam k bad aur takbeerat sy pehly aitul kursi ya kalma parny sy wo takbeerat saqit ho jati hain
aur kiya salam k baad aur takbeerat sy pehly 1 bar Allahu Akbar aur 3 baar astaghfirullah parny sy b wo takbeerat saqit ho jati hain kiya salam k bad takbeerat sy pehly 1 bar allahu akbr aur 3 bar astaghfaar par sakty hain
shukrya
salaam
Kisi ne bataya k bail ya bhains me agar shareek hazrath 7 se kam hayn (yani agar 5 ya 6)...
Tho khurbani kisi ki naa hogi...balke 7 shareek hona hi hay...
Agar khurbani k afrad 7 se kam hayn tho baqi hisee me aqiqa ya kisi mayyat k isaale sawab me laga den ....yani 7 hisse hona hi hay.....
masla iss tarah hay kya??...
Kya kul mal me sirf 5 ya 6 hisse krneki surat me qurbani na hogi??..
Wazahath k sath rehnumaai farmaayen.