Zakat: Mera ek flat hai jise rent par diya hua hai, mujhay bata dain kya zakat flat ki market value par deni ho gi ya jo ek saal main rent mila us par zakat deni hai? JazakAllah
ASSALAM-O-ALAIKUM:
SAWAL ARZ HAI MUFTI SAHAB K 5 TOLA SONA HAI AUR 4.5 MASHA CHANDI HAI KYA ZAKAT FARZ HOJAE GI AUR KIS TARHA HO GI PLZ THORA TFASEEL SE BATA DI JIYE GA WOH ISLIYE K MAI DOSRO KO BHI TAFSEEL SE SAMJHA SAKHO AUR KHUD BHI SAMJH JAO
Assalamu alaikum warahmatullahi wa barakatuhu. zakat ki raqam apnay bhaiyon ya digar relative ko dee ja sakti hai? agar dee ja sakti hai to kya bata kar dena zaroori hai ki ye raqam zakat ki hai ya kuch aur kah kar dee ja sakti hai? meherbani karke rehnumai farmayen. Allah hafiz.
Assalamu alaikum warahmatullahi wa barakatuhu. zakat ki raqam distribute kar kar deni chahiye ya kisi ek shakhs ko zakat ki raqam ka maalik bana dene ka nam zakat hai? meherbani karke rehnumai farmayen. Allah hafiz.
kya farmatain hain ulma akram \"\"agr kisi nay takrebn aik sal pehlay dukan(shop) dali magr usay wo wala mahena(month) aur din(day) yad na raha to ab sal pura honay ka kesay pata chalay ga aur es sal ki zakat kesay ada karay ga.??aur ainda sy zakat kesay ada karay ga.jazak ALLAH
asslam-o-alaikum. mera sawal zakaat k mutalik hai mai joint family se taluk rakhta hoo aour mere 3 bache hai aour 1 biwi hai mere paas 1 plot hai jo mai aane wale waqto k liye apne istemaal ki niyat se liya hai to kiya is plot par zakkat banti hai?
plz rehnumai farma de.