Assalam o alaikum,
Sab say pehlay to ye k is web site k baray mai jaan kr biht khushi hui,ALLAH Azwajl say dua hai k ap logon ki is mehnat pay ALLAH Azwajl ap logon ko jazay khair day aur ap logon pay apni rehmatein nazil fermay, aameen.
Q: agar kisi aurat ka shohar kho jay yani gum hojay to wo aurat kitnat arsay intezar kernay k baad dosri shaadi kr sakti hai? Is ka jawab shafae, maliki, hambli aur hanafi maslak mai kia kia hai? Aur hazrat is jawab ka hawala zaroor ata fermayega ap ki karam nawazi hogi.
Jazak ALLAH Azwajl.
Aslam o Alaikum, kia pasand ki shaadi jaiz hai islam mein aur kia larki ko dekh sekty hain shaadi se pehly aur kia dekh ker shaadi ker sekty hain aur hadees ki roshani mein bata dein k konsi cheezain dekhni chahiye shaadi kerne k liye, barai meharbani is k mutaliq tafseelan bata dijiay.
Assalam o alaikum
Janab muti sahab me apse is sawal ka jawab pany ka khuwahishmand ho k tajdeed e nikah kaha se mustanad h Quran Pak ya Hadees Pak k hawaly se arshad farmae Ayat no ya phr hadees number
shukriya
sawaal no.1 mufi sahab assalamalaikum mera sawal ye ki agar koi baap apni 2 betiyo nikah wahabiyon me jaanboojh kar karta hai. to wo shariat e mohammadi ki nazar me kaisa hai uss baap ke liye shariyat me kya huqm hai.
sawal no.2- agar koi baap larki ki marzi ke bagair uski shadi zabarjasti kare to uske liye shariyat me kya hukm hai.
apse guzarish hai ki jald as jald jawab ata farmaen.
talibe dua
allah hafiz.
assalmalikum mufti sahab mera sawal hai ki ek baap ne apni ladki ka nikah uski mazi ke bagai uss par dawav bana kar kiya ke agar tum nikah nahi karogi to main tumhari ma ko talaaq de dunga. aur dar ki wajah se aur mazboori ke wajah se us ladki ne nikah kubool kiya kya ye nikah sahi hua. zald as jald jawab ata kare.
alllah hafiz
ASSALAMU ALAIKUM MUFTI SAHAB. ALLAH KI REHMATEIN AAP PAR HAMESHA HO. MERE 1 SAWAAL HAI.
1. KYA KOI ADMI (SHAKSH) APNI BIWI SE ANAL SEX KAR SAKTA HAI. KYUN KE MAINEY WWW.ALAHAZRAT.NET KE WEBSITE PAR YEH PADHA THA KI SHIYON ME YEH JAYAZ HAI. TOH KYA SUNNIYON ME YEH HARAM HAI?
Category of question is Nikah:::
Asslam-o-Alaikum...
Allah taala app kee tofeeqat -e khair main azzafa fermai\'\'
Maiara sawal yeh hai k Kia Aisa mard jis nain kisi larki (Baakrah/Kunwari) say zunna kia ho baad main us k sath Nikah(Shadi) kr sukta hai k nheen?
Aggar haan tow kin shrait pur nikah kr skta hai kion k mujhay ake dost nain bttaya hai k Jub kisi k sath zunna krtay hain to wo aurat us mard par haraam ho jaati hai jub tuk wo kisi aur say shadi naan kray aur us say taalaq lay k iddah naan guzaar lay aur wo kehta hai k Surrah noor main shaid is ka zikkar hai.
Aggar Nikah nheen kr sukta to us kee kia wujjah hai?
Aggar mumkin ho sukkay to donoon conditions main ahadees aur quran ka hawala bhee thay dain.
Allah hafiz
As salam o alikum....
Kia Walidien ki marzi k baghair nikkah hosakta hai?
Agar chup kar nikkah karlia gya hai to kia usi larki se dobara us k maa baap ke razamandi se dubara nikkah jaiz hai?
Nikah per nikkah ek he larki se ?
ek aurat fulan jagah niqah karna chahiti hai par ladke ka khandan unke status ke level ke nahi aur yehi wahah se family wale usse apni marzi ki jagah niqah nahi karne deinge aisi surat me aurat ko kya karna chahiye apne ghar walo ki marzi par niqah karna chahiye ya apne khayalat ko family me izhar karna chahiye status ki wajah se niqah ke liye razi nahi gharwale to aurat kya kare ghar walo ki pasand par niqah kare ya apni pasand par
I read some where that husband & wife are not permitted(in Islam) to see each other\'s sex organs. If they see, their nikkah becomes void. Is that true?