salam o alaikum .mai ye janna chchta hun aj ke daur me kya maslake alahazrat hi sahi masalak hai,azahari mian ki bare me bhi btayen,,debandi aur wahabi aur bareilly me se haq pe kaun hai .AUR mai jin mufti sahab se jawab talab kar raha hun unke naam ka talabgar hun ,,,,allah hafiz
mera ye sawal ha kay nabi pak ki aik hadees ma zamany kay afzal honay ka baray ma bataya ha yani mera zamana aur us kay baad ka zamana aur us kay baad ka zamana bahtar ho ga ya afzal ho ga
ma yeh pochna chahta ho kay kya koi is zamanay ma bhi agar achay emal karay to kya us ka darja phly zamanay walay logo jasa ho sakta ha.agar ho sakta ha to kita afzal yanai kya tabi kay barabar.
SALAM, mufti sahab bad-mazhab bohot tang krte hen unki btein sun kr dil jalta he aap arz frmaen k hum sunni awam ko unse behes krni chaiye ya nahin aur agr nahin to kis had tak hum chup rahen aur kya karen??? JazakAllah
Q:2 hum Ahel e Sunnah jo waseela bana kar mangty hain es main bohat se doston ko ekhtalaf hia ...please QURAN O HADEES ki Mazboot daleel se mujhy Raah dikhayen ...???
main jawab ka muntazir raho ga....
assalam o alliekum
ek shia sahb ny sawal kia hy k 10 hijri ko 150000 musalman thy or 11 hijri ko rasoolallah k janazy ma sirf 7log shari huay
shukria ek adna sa rasool ka gulam muhammad adeel
1) ye aeteraaz ka jawaab ata karein k bad aqeedah kehte hain k
***12 rabiul awwal ko huzur ka wisaal howa tha tho sahaba ne gham manaya tha aur iblees aur uske hawariyon ne khushi maniyi to tum sunnyon kiski sunnat par ho?
*** sahaba ne kabhi huzur ki paidaesh ki khushi to manae hi nahi to tum kya manate to
2) abu lahab ki woh riwayat jo bukhari shareef me hai uspar ye do suwaal the inka jawaab ata karein
*** abu lahab ko khwaab me dekha gaya hai aur woh kafir ka khwaab tha na k nabi ka to usko dalle k taur pe pesh karna kaise sahi hoga
*** us riwayat me jo khushi manae hai to usne paigambar ko mana to nahi bus apne bahteje ki khushi manaye thi uska ye amal bataure daleel milaad ko kaise sabit karega?
3) zaed ne ye kaha k chunke huzur sunte hai aur salaam bhi sunte hain aur uska jawab bhi dete hain kyunke salaam ka jawaab dena sharan wajib hai to huzr salam ka jawab bhi dete hain, huzur par salaam k jawab ka wajib hona kya ye sahi hai aur iska sahi sahi tafseel ata karein?