Assalam o Alaikum, mera sawal yeh hai k mujhe kufriya khalayaat bohat zyada aate hain, jin mein gustakhi bhi ho jati hai. Mein bohat koshish karta houn k mujhe yeh khalayaat na aaye lekin rok nahi pata. Please meri rehnumayi farmayain. Shukriya
Asalamualikum,
jinab may iss saal 12th exam may fail huwa may na to acha paper kiya lakin tab b mere math fail hai ab muje koi aisa tareeqa bataye jis may apne dimag ko strong karo
a/a: muje wo hawala chahye jis se ye saabit ho ke huzoor salalahu alaihi wasalam ko hazrat aisha ke hujre mai dafan kia gaya tha jis ko baad mai gol gumbad se badal dia gaya. Asal mai ek wahabi ka ye dawa hai ke un ki qabar anwar aam qabru ki tarah thee jis per bad mai kisi shia ne gumbad banaya tha.
Assalamoalaykum warahmatullahi wabarakatuh HAZRAT devbandi ka koi ladka ya ladki ka nikaah sunni ladki ya ladke se ho to kiya usks nikaah sunni imam parha sakta he sunni imam ko us ladki ya ladke ke paas jakar ashraf ali thanvi vagerah ke aqaid bata kar unse toba karana zaroori he ? Or imam ne esa nahi kiya or nikaah parha diya to shariat ka kiya hukm he isi tarah devbandi namaze janaza sunniyo ne parhi ya parhai to kiya hukm he OR haram me jake waha ke imam ke peeche ynamaz parhi to shariat ka kiya hukm he jawab inayat farmaye nawazish hogi
Assalam o Alaikum, mera aap se yeh sawal hai k humare ghar mein kuch arse se paise ghayab ho rahe hain. Paiso ko check kar k rakha jata hai thori waqt bad wo wahan se ghayab ho jate hain. Please koi wazifa bata den. Shukriya
Salaam Hazrat Jawab ka bahut bahut shukriya ALLAH aapke IMAAN mein aur wuz\'at farmaye aur nek tamanao ko qubool farmaye!!
Hazrat mera sawaal ye hai ki?
1.Ek shaks hai jinka naam Shaykh Umar Al-Qadri hai aur wo Ireland se talluq rakhte hai wahan pe wo ek islamic acadmy chalete hai mujhe unke aqeede ke talluq se kuch farmaye!!
ye unki ek video clip hai
https://www.youtube.com/watch?v=a1VBcOPMkaA
Assalamu alaikum, kya paidaish ka din dekh kar bacchon ke naam rakhna jaiz hai? Mere ek rishtedaar hain jo kehte hain fulan din koi paida hua hai toh fulan lafz se shuru hone wala naam rakha jaye, kya aisa karna durust hai?
ASSALAMU ALAIKUM MUFTI SAHAB. ALLAH KI REHMATEIN AAP PAR HAMESHA HO. MERE 1 SAWAAL HAI.
1. Aap ka Tahirul Qadri ke bare me kya khayal hai? Kya Tahirul Qadri Ghushtaq E Rasool sallalalhu alaihi wa sallam hain? Agar haan toh aise aadmi ke videos qtv par dekhna kaisa? Kyun ke mai ab inke videos nahi dakhta.
kya farmatain hain ulma akram \"agr kisi shaks ki ye conditon ho k us say kisi shaks k pochny par kisi aur shaks ka raz batany par majbor kia jay to kya wo us ka secret raz bata sakta hay ya jhot bolay?