Zakaat Ka chanda lene ke liye Madarse se Maulana aae to mai un ko 300 Rupae Zakaat du lekin not 500 ka du aur wo Maulana sahab kisi doosre ki 200 Rupae Zakaat ke Rupae mujhe 500 ki not se 300 Rupae kaat kar de de. Kya is tarh Zakaat ada ho jaaegi.
Assalam aliekum mufti saheb! my question ya hai k alvi or syed ma kya farak hy or alvi ko zakat da sakta hy or mara 2ra question ya hai k jab khana kaba pak hai tu shia waha k sa jata hai ku k waha kafir nai ja sakta or in pa tu kufr ka fatwa hai plz jawab da ek shia na muja sa ya sawal kiya hai or hadis e nabvi k ab madina or makaa pak ho gaya ab koi kafir nai a sakta yaha ya mari email id hai rehmanakstv@gmail.com
salam agar waqeel ne shari faqir ko zakat dete waqt niyat nahi ki tu zakat ada hogi waqeel ne gab zakat k pese shari fakir ko diye tu ye khayal guzra k ye zakat k pese he ese me gis par zaqat farz thi uski zakat ada hogi?
mere bayi ne waqt se pehle apni do betiun ki shadi ke liye sona khareeda. har ek beti ka sona nisab se kam he. donu betiun ka sona jama kar ke nisab se ziada he. is par zakat dena he ya nanhi?
Salaam mufti sahib
Ek shaks ne car apne chalane ke liye installment pe kharidi. Is se woh apni dukan pe aata jaata aur deegar zaruriyat bhi puri karta hai.
Kya zakat ka hisab lagate huwe us gadi ko bhi nisab me shamil karna padega ?
Jo installment ada karni baqi hai , kya us ko nisab se nikal deinge ?
salam
sir, ma na aik plot instalments per lya hoa ha, iski price 16 lak ha or qist 9 thousand monthly ha, is ki zakat ada karna ho gi ??
abi ya mera pas nai ha jab tak instalments puri nai hoti.
salam sadeqa wa kherat ek chiz he ya alag alag he agar 1 bakera sadeqa ka quraban kiya or dosera bakera walid ne kherat kiya go ke walid ne apne or apne ghar ki tarf se diya ho tu uska gosht kon khasakta he kiya ghar wale khasakte hen ya nahi?