salam!!! Main jis colony main rehta hun wahan deobandi aur wahabi kasrat sy rehty hain. is waja sy aaty jaty un sy amna samna ho jata hai. kbi kbi wo bi mjy salam krty hain. mjy ye btaen k 1-un ko salam krna kesa? 2-ya wo khud salam karain to jawb dena kesa? 3-rasty sy guzarty huay hamain kesy pata chaly ga k ye shakhs badmazhab hai phr hum usy salam karain ya na karain? plz in muamlaat main rehnumai kar dain. aur hal bhi bata dain. JAZAKALLAH
salam!! main ahl e sunnat jamaat sy talluq rakhta hun. mera rozana mukhtalif logon sy wasta parta hai. Kuch Log kehty hain hum firqon ko nai manty hum sirf musalman hain. wahabi deobandi bi musalman hain wo bi ALLAH ko manty hain. NABI S.A.W ko manty hain. akhirat ko manty hain. aur baaz log un badmazhabon k kuch aitrazaat bi biyan krty hain jis k bais mera dil shak o shubhaat ka shikaar rehta ha. main ny kitaabon ka bi boht mutala kia hai phr bhi. plz mera dil mutmaeen kar dain. aur koi hal bi bataen.
salam!!! Ulama kehty hain k beobandi,wahabi aur shia yani badmazhabon sy mel jol na rakho.un ko salam na kro. aur shion sy khareedo farokht bi jaiz nai hai ha. MERA sawal ye hai k hamain logon k aqaid ka kesy pata lagy ga. maslan humain raasty main koi cheez bi leni par jae hamain us dukandar ka aqeedah kesy pata lgy ga. koi tareeqa aur hal bataen.
salam!!! Allah ka shukar hai main ahl e sunnat hon. magr mery aik duur k rishty daar hain wo deobandi hain. wo muj sy sawal karty hain k Imam ahmad raza R.A k nazdeeq agar Rasheed ahmad gangohi aur Qasim sahab kafir ya badmazhab hain to HAJI IMDAD ULLAH ki wilayat ka kia karain. q k ye dono hazraat HAJI IMDAD k khulfa hain. Haji sahab ny unhain bait q nai churwai? kia haji imdad ki wilayat kahan jae gi? plz mjy tasalli bakhsh jawab dain takay main apny dil ko mutmaeen karon aur un sahab ko bi jawb dun.
salam!! Deoandi hazraat kehty hain k IMAM AHMAD RAZA har kisi ko kafir keh deta ha Multan main ATA ULLAH SHAH BUKHARI ko kon nai janta wo to barelvi na tha IMAM AHMAD RAZA k nazdeeq wo bhi bad mazhab tha. plz is ka jawb dain taky un ko jawb dy sakon.
Mera sawal yeh hai k mai aik sal sy aik colegue k sth khana khata ho vo shia hain namaz vagera sb parhtey hain aj tk unho ny hamesha mjhy sahe aur achay mashwarey diye hain aur apney beton ki tarhan sy treat krtey hain kia un k sth khana khana jaiz hai ya nai agar mai unko mana krta ho to unko bht ziada feel hoga bcz vo akelay khana nai khatey aur bs mery sth he khatey hain mai soch raha ho k khana khana chor don bcz es k elava aur koi rasta nai bacha hai mery dil mai un k liye koi burai nai hai aur na he unhon ny kabi mery samney kisi bi Sahaba-e-Ikram k barey mai kch galat bola hai plz help me
I am waiting
Salam!! pehly bi ap ko ye sawal bheja tha magr jawb nai dia gaya. please mjy is waswasy ka jawb ata kar dain. (Sabz jhanday ya sabz kapry ko SARKAR S.A.W ki taraf nisbat krty huay chumna jaiz hai? agr jaiz hai to phr to SHIAY bi muharram k dino main ehl-e-bait k rozy pak ki naqal banaty hain jisy taazia kaha jata hai aur usy chumty bi hain. to phr to wo bi jaiz hua. plz daleel k sath mutmaen jawb dain.
Assalamu alaikum ,
Mufti sb ek shakhs ne is tarah kaha hai k mera iman mutazalzal ho gaya hai main musalmaan se kharij ho gaya main momin nahi raha to kya is tarah kehne se iman par koi farq parega ya nahi ?
Assalamu alaikum ,
mufti sb ek shakhs k 2 bachche hain aur woh dono der raat tak jaag kar parhte hain to woh shakhs ek din naraaz ho gaya aur usne gusse men apni wife ko bachche k baare men kaha k agar isi tarah der raat tak jaagte rahe to sab parhai likhai band kar den ge chahe iske liye Allah Ta\'ala mujhe jo azaab de seh loon ga , kya is tarah kehne se iman par koi farq parega ya nahi?
Assalaamu alikum. mera sawal a hai ki kya allah azwajal sirf arsh par hai ya har chotisi choti chiz mebi hai. Agar allah azwajal harjaga hi to kya o jahannum me bi hi ?
Assalamu Alaikum
\"Sarkar Gaus E Pak\"
Ki 11yharvi Manane Ka betar tarika bataye ap mujhe jaise k ham halwa krke baant diya krte aur tarah bhi to mana hai na plz reply.
Imaan Illah