1) nabi ki paidaish to ek baar huwi thi to tum loag nabi ki amad marhaba kyun bolte ho kya wo thodhi hi aane wale hain woh to kab ka guzar chuke. mazakallah ye wahabi ka aeteraaz tha iska jawab ata karein?
assalm o alaekum mera ek or sawal hy k shi hazrat kehty hen k ap ki sahe bukhari ma ya kisi bhi hadees ki mustanad kitab ma hazrat ali sy riwayaten kyo nhi hy baki choty choty sahaba sy hen shukria
rasool (S.A.W) ka adna ghulam MHAMMAD ADEEL
salam!hadeeso ki kitab main ek lafz aksar dekh ta hu zarooriyat-e-deen-mera sawal ye h k zarooriyat-e-deen me koun koun si cheeze aati h?jawab irshad frma kr ajr kamaiye.
Q.586 ka jawab dene k liye shukriya.ek aur sawal-aap ko deoband k baare main kitna malum hai.aap ko agar ilm nahin hai to aap kaise keh sakte hai ki deoband kufriyaa akaaid rakhte hai.(wahaa se to bade bade ulama,mufti,huffaaz faarig hote hai).ham sab ko bina sahi tehqiq k kaise kaafir ya badmazhab keh sakte hai.maine padha hai ek baar haz.usama(r.a.) jang k moke par 1 shakhsh ko qatla karne ko jaate hai,lekin wo shaksha jaldi KALMA Pad lete hai.phir bhi haz.usama(r.a.)usko qatla kar dete hai.ye baat jab hamare nabiji ko malum hoti hai to Unko bulakar farmate hai\\\'KYAA TUMNE USKA DIL CHIRKAR DEKHA THA K USNE DAR K MAARE KALMA PADHA HAI.jab k usama(r.a.)u farmate hai ki usne dar k maare kal ma padha hai. Ham DEOBADIYON K DILO KO NAHIN JANTE LIHAZA ESI GALAT FEMIYO SE AWAAM KO BACHANA HAMARI ZIMMEDARI HAI.plz pura jawaab dijiyega bhale lamba ho.
kia jumey ki namaz ki alag se qaza hoti hy ya uski jaga zuhr ki qazaen parhi jaen gi or qaza namazun ka hisab hijri calender k hisab se lagaya jae ga ya eswen calender k?
assalamu alaikum,
mufti sahab mujhe malum karna tha ki huzoor sallallahu alaihewasallam ko nabuwwat 40 saal baad mili ya pehle se mili hui thi. aur ye bhi jaan na hai ki huzoor ko ilm e ghaib wilaadat ke baad hi mila tha ya nabuwwat ke baad mila. ye sab jaan ne ke liya kya koi sunni english kitaab hai jisse mai ye sab jaan sakun? assalamu alaikum.
asak mufti saheb, yeh kyon kaha jaata hai ki baalon ko kala rang mat karo bhale doosra koyee bhi rang lagaaoo, please hadees ki roshni mein rehnumaayee karein.
Assalam-o-Alaikum Mufti sahab!
Main Rawalpinidi ka rehnay wala hun or Swabi main ek University se parh rha hun.Menay pochna ye hai k agr main 15 din se kam university main rehta hun to kya mujay yhan Nmazon ki Qasar krni parhay gi or Qasar ka tareeka b irshad frma dain!
ALLAH ap ko Jaza-e-kher de!
AMEEN!!!