ASSALAM-O-ALAIKUM to all
Kyaa khana khate waqt SALAM laina manna hai ?
Barahe meharbani iss ko bare mien rehnumayi farma dien.
Aur yeh bhi bata dijiye ga k kis wajha se mana hai.
JAZZAK ALLAH
asslam mu alaikum
mere saat aik hindu kaam karta ha,us ko gaar me problem ha,wo soochta ha kisi ne jadoo kiya ha,me ne dawateislami se istkara karaya tha,
laiken us ka toor Sura kafroon tha,kiya ya ma per ker us ke jadoo to toor sakta hoon,oor ab us ki biwi je ser me dard rahta ha,wo koi wazeefa chahtee ha,ma confuse hoo ,mushrik na paak hain,to aab kiya haal ha,un islam ke zareeya maddad ho sakti ha,
suhkriya
salaam
Asslamalaikum,
Janab mera sawal istekhara ke talluq se hai k mujhe naya job offer mila hai kyun ki mera job takriban khatm ho chuka hai aur allah k fazl se mujhe naya job offer mila hai kya yeh mere liye behtar hoga yehi janna chahta hun jo k Saudi mein hai pichla job Qatar mein tha jo ab finish ho chuka hai,baraye karam jawab den ya istekhara ki site se mustasna karen ain nawazish hogi.
Jazak allahu khairan
aslamualikum jnab main ne yeh pochna hai ke mujhe kisi ne ek hdic pak sunai hai ke 3 admi aese hain jo jannat ki khushbo bhi na sungh skin ge 1man bap ka na farman 2qsam kha ke mal behne wala 3 takhnon se niche shalwar rakhne wala kia takhnon se niche shalwar rakhni chahiye ya nhi
SALAM, mufti sahab pochna ye tha ke kisi larki ka naam \"Laiba\" rkhna thek hai ya nahin, is naam ka matlab kya hai, suna gya hai iska matlab hai \"player\" or \"playful\", kya is naam ka asar larki ke upar parega??? JazakAllah
Asalam o Alaikum .
Payare Mufti Sahib Allah Paak aapki Deen ki khidmat ko aur Awam ki rehnumayi ko qabool farmaye aur aapke darajat mein bulandi farmaye .
Hazrat arz yeh hai ke jab bhi Talaq hoti hai to zahir hai talkh zubani bhi hoti hai ya Talaq se pehle lardayi jhagrda ho jata hai . agar aap lardki ka sara jahez jo kuch woh apne saath layi thi woh wapis kar den . phir bhi Lardki Badduwa de to kya uski badduwa lage gi . Halanke aap uska haq nahin rakh rahay .
Mauamla yun hai ke bhai ki jahan shadi hui thi wahan pehle din se khushi nahin thi lekin 3 saal isi koshish mein guzar gaye ke shayad sab theek ho jaye . Jo Lardki hai woh zubaan daraz hai woh Khawand ke saath saath parents ki bhi insult kar chuki hai kayi baar is bina par usko chord rahay hain woh ab Badduwa de rahi hai to kya Hazrat hum najaiz kar rahay hain aur kya humain badduwa lag jaye gi .
Aur agar hum Allah se dar ke maafi bhi mangen tab bhi Badduwa lage gi ??
Kya Rullings hain Islam mein agar Lardki chordte waqt Badduwa de to ?? Hum gunehgaar hon gey ??
aur is liye chordna ke Lardki zubaan daraz aur Tez hai aur Mustaqbil mein jaa ke Parents ke saath bura salooq kar sakti hai theek hai ya nahin ??