Salam! pichle jumma ek ms-ala ho gya k 2manzila ki masjid h pehli manzil pr imam sahab namaz padhate h or ground floor or 2flioor pr bhi log namaz padhte h.msla ye hua k mic namaz k beech me band ho gya yaha tk k 1stfloor walo ne salam pher diye jb ek shaks farz namaz k baad grd floor pr gya to dekha k log qaiday ki haalat me h to os ne kaha k salam pher do namaz ho gayi?to logo ne salam pher diye to kya un logo ki namaz ho gayi?ab kya kre?
umuman Banda kuch ni soch raha hota (yani Zehan khali hota hai ) to kafi sochain dimag me ati hai yani ap ka Zehan kisi soch se khali rahay bohat mushkil hai, koie na koie soch to dimag me hoti hi hai.. Maloom ye karna hai k Doran e Namaz kuch na socha jai essa to Mushkil hai, kuch na kuch to Soch ati hi hai kyon k Zehan me din bhar ki kafi batieen hoti hain.. ab Namaz me kia socha jai kia tasawur kia jai? Khoof e Khuda se apna Gunahoo ko yaad kar k rona kaisa jab k imam tilawat kar raha ho aur hamay Arabi samaj na ati ho? ya phir Makkah Madinah Roza e Rasool salalahoalehewasalam ka tasawur bandh na kaisa jab k imam tilawat kar raha ho.? warna agar zehan khali rakhte hain to thori der baar Dunyawi khyalat gair lete hain kabhi hisaab kar rahe hotay hain,kabhi karoobar to kabhi ghareloo discussions...kia kya jai? Umeed karta hon k jo feelings hai meri me ap samaj chukay honge :) Quran o Hadees se is per Roshni daliye aur detail me jawab inayat farmaye Jazak Allah
Salaam to all
Agher Masjid ka Imaam parhne ke Liye apne Ustaad se jhoot bole ke mujhe dusri city mien job mill rahi toh aap mujhe khusi tawjhoh se parha dien halanke Uss Imam Masjid ko kisi dusri city mien job nahien mill rahi.
Aur Uss Imam Masjid ke apne Students ke exam mien kisi Students ka haq maar kar kisi aur ko pass kar diya jaye k Masjid ki Intezamiya Uss khush rahe.
Aur bhi kamo mien Imam Masjid Jhoot bolta ho andar se kuch ho aur bahar se kuch ho to Uss ke maare mien Shariyat kyaa Hukam Daiti hai?
Aur haan kyaa uss Imam Masjid ke Peeche Namaz ho jaye gi.
JAZZAK ALLAH
ASSALAMUALAIKUM MUFTISAHAB
MERA SAWAL HAI KE HAMARE YAHANH JUMA KE DIN IMAMAM MIMBER PER JANE SE PEHLE MUZZIN SAHAB YEH PADHTE HAIN \" INNALAHA WA MALAIKATU USLLUNA ALANABI YA AIYALLAZINA AMANU SALLU ALAHI WA SALLIMUNTASLIMA , YA MASHARAL MUSLIMIN RAHMAKUMULLAHU KADWARDA FIL KHAIR AN SAYADIL BASHAR WA SHAFILUMMATI FI YAUMALMAHSHAR SAYADIL ASHRAFI MUTAMIM MAKARIMIIL IKHLAK WALAUSAF SAYADIL ARABI WALAJAM SAYADINA MUHAMMAD IBN ABDULLA IBN MUTALLIB IBN HASHIM IBN ABDIMUNAF,INNAHU KAL IZA SAIDIL KHATIB ALA MIMBARI SUMMA KHATAB FALA YATKALLUMUNA AHDAKUM WAMAN TAKALLAM FAKAD LAGA WAMAN LAG FALA SAWABA AJMATALAH, INSITU RAHMAKUMULLAHU TALA FASTAMIOO YAGFIRALLAU LANA WALAKUM WALIWALIDINA WALIWALDIKUM WALIUSTADINA WALI USTADIKUM WALJAMIL MOOMININ WAL MOOMINAT WAL MUSLIMIN WALMUSLIMAT FASTAG FIRU INNAHU GAFUROORRAHIM\"
IS KE UPAR HAMAR AUR AHLE HADIS WALAON ME AKSAR PROBLEM RAHATA HAI. KYA YAH SAHI HAI AUR AGAR PADHNA SAHI HAI TO ISKI DALLIL KYA HAI? UMMID HAI ALLAH KE FAZLA SE AUR TAJDARE KAINAT KE SADKE SE AP IS PAR ROSHNI DALENGE
ASSLAMUALAIKUM
airplane ma safar kartay howay 1 hour ya 2 hour guzar gahay han jis country say airplane ura ta os country say bahir nikal chuka hay har country ma namazon ka wakat mukhtalif hota hay ab kisi nay namaz parni hay to jis nay namaz parni hay os ko kesay pata chalay ga k airplane kis city guzar raha hay or is city ma kon si namaz ka wakat hay?
airplane ma kisi nay socha k airplane ma jo namazan paran un namazon ko airplane say utar kar dubara bi parna to hay hi is vaja say wo airplane ma beth kar namaz par leta hay or airplane kay safar k bad jo namazan beth kar parhi ti un namazon ko dubara parh leta hay to kia wo guna gaar ho ga?
Salaam,
Mera suwaal ye hai k kya namaaz me quran e paak ki chand aayaat ya kalime galati se chhoot jaane se (jin se maana faasid na hota ho) jin se pehle teen aayato k miqdaar surah padh li ho to namaaz hogi ya nahi.
Agar imaam se aisa ho gaya ho to kya hukm hai. Kya Imaam aur Muqtadi dono ko namaaz dohrana hoga?
Misaal k taur per imaam ne surah baqarah ki aayaat \"ya ayyuhal lazina aamanus-ta\'eenu bissabri wassalati innAllaha ma\'assaabireen\" se lekar \"walabnuwannakum bishai-imminal khaufi wal jui wanaqsim minal amwaali\" tak padhne k baad beech k do alfaaz \"wal anfusi wassamaraati\" chhod kar \"wabashirissaabireena iza asaabat-hum museebatun qaalu inaa lillahi wa innaa ilaihi raajioon. oolaaika alaihim salawaatum mirRabbihim warahma, wa-oolaaika humul muhtadoon\" tak padha to namaaz dohraana hogi ya nahi...
Bayyinu wa toojiru...
Ma\'assalaam