Agr husband sahib istaat ho aur wife bhi too wife kis k paison sy hajj kry jab k husband khud bv ka bhi hajj ka kharcha dainy k lia tayar ho yaa bv apny husband ka bhi dy jab k husband ka dosra hajj ha aur bv apny husband k sath jana chati ha
Salam..
Me umrah k lye ja raha hun..
Mera sawal ye he k me wahan ja kr haramain shareefain me jamat k sath namaz kesey parhunga??
Samajh nahin a raha kuch bhi..
Madad kijye
JAZAKALLAHO KHAIRA
AssalamoAlaikum
My ap say aik urgent sawal puchna hay
My wife hoon, kuch ikhtilafat hain husband say jin ki wajah say may apnay parents k pass a gai hoon kuch months say bachon ko lay kar
Kia may apny parents ya bhai kay sath Umra par ja sakti hoon apnay husband ki permission kay bagair?
May pehlay bhi hajj aur umrah kar chuki hoon
May agar apnay husband ko bataye bagair jaoon aur un ki permission kay bagair to kia ho ga?
Mughay maloom meray husband permission nahi dain gain, un k ikhtilafat hain meray aur meray ghar walon say
Meray husband kehtay tum meray pass wapis a jao lekin may jub tak maslay hal nahi hotay meray aur meray parents say may nahi jana chahti
Quran aur Hadith ka reference bhi dain dono soorat may agar ja sakti hoon ya agar nahi ja sakti
Please urgent aur zaroori hay, please jaldi jawab digiya ga
AssalamoAlaikum
asalam alikum darasal mere walda ka tallaq hogaya tha mere paida hone se pahle aur abb allah k karam se main walda k sath umra karne ka irada kiya hoon tou mera sawal ye hai k mere baap ne shadi per naqd maher nahi diya tha tou kya mujhe umra karne se pahle meri walda ka maher dena hoga aur kya mujhe mere tallaq diye hue baap se mafi nama mangna hoga .?