salam. huzoor yeh irshad farmaiye ke qasar namaz jo hai woo agar half yani jis tarha qasaar parhnay ka hukum hai na parhay balkay us namaz ko poora parhay too kya woo gunahgar ho ga ya koi masla nahi??? aur yeh qqasar namaz jo hai woo hukum hai, wajib hai ya mustahab hai ???
mufti sahib agar jumma kisi ke pichy parha ho jis ka ayaada bhi karna hai agar 4 sunnatein pehlay parh li hain aur 2 farz jumma ke parh ke baad mein 4 sunnatein dobara parhni hongi ya direct 4 farz zuhr ke parh sakty hain???
2) zaied 3 rakaat namaze wajisbul witr padh raha tha usme duae qunnot padhraha tha
-ek surat uske padhte waqt 2 lafz duae qunnot k chodgaye to
ispar kya hukm hoga aur namaz kaise mukammal kare
-dosri surat ye k duae qunnot padhte padhte woh jo lafz
bholgaya
tha to usne kuch peche se ya ek do line upar se padha. aisa
padhna kaisa hai aur kya hukm hoga?
3) namaze juma k liye jo do azaane de jati hain humare yahan 12:30 ko pehli aur dosri urdu khutba hone k baad qareeb qareeb 1:40 ko dosri de jati hai.
-- pehli azaan jo de gayi woh kya huzoor k zamane me dejati thi
tafseel bataein?
-- hamare yahn ki 12:30 ki pehli azaan k baad hi kya humko
sab kaam chodna hai aur kya isme kuch padhna aur kaam
karna haram hai ya phir humko dusri azaan k baadye hukm hai k
kaam kaaj choddein?
aoa mufti sahab main umeed karta hun k Allah k fazal se aap kheriat se hon gay. mera swal ye hai k ye batain k namaz main Atheyat main kis wakat shadat wali finger uthani chaheye?
hazrat agar main masjid mein akela tha aur apni farz amaz adaa kar chuka baad mein sunnatein adaa kar raha tha. zuhr ki namaz ki ya isha ke witar adaa kar raha tha too pichy se kuch loag aa gaye aur hath laga diya, yani ishara diya ke ham aa gaye so lets start the jamat right from there? un logo ka aisa karna kaisa ? aur phir baad mein unko kaha bhi ke main sunnate ya witar parh raha tha too woo kehty ke hamari jamaat ho gaye tum chaahy jo bhi parh rahay thay hamari iyyat jamaat ki thi??? is silsilay mein kya hukum hai hazrat??
abdussattar hamdani sahab ki kitab momin ki namaz me h k jo kaam makhroohe tehrimi h vo namaz ki haalat me krne se namaz ko dobara padhna padta h to kitab me jaha makroohe tehrimi ki list h on me zameen pr khoni bichana makhroohe tehrimi likha h main ne ek sahab se pucha to kahe k is makhroohe tehrimi se namaz ho jaigi kya is kaam ko krne se namaz ho jaigi or ye bhi irshad farmade k jo kaam krna makhroohe tehrimi ho phir bhi vo krne se namaz ho jati h.
agar namas main vazu toot jay gymat ke sath maslan, agar do rakat pharhney ke bad totey to kia vazu kar key phir siraf do raktein parhni hain kesey pharney hain
agar kisi ko namaz ke dauran rakat bhool gaye bilfarz 4 sunnatein ada kar raha tha too 2 parh kar usko laga ke maine 3 parh li hain aur 4th parh kar sunnatein ada kar ke farigh ho gaya. aisi haalat mein kya hukum hai?
Assalam o Alaikum
Mufti Sahib/
Agr Nimaz Ba-jamaat Ada ki Ja rahi hu tu usi dorn Wazu toot jay tu kia krna chahiay
jamat sy side me hu jain?
jamat k sath nimaz mukamal krain?
Plz Answer me