Assalamo alaykum va rahematullah,
kya auliyaallah ke mazarshrif per ja kar unke nam se nariyal fodna, ye niyat kark ki \'ya auliyallah ye nariyal ap k nam se fodta hu.\' to aisa karna jaiz hai ya nahi? Auliyaallah ke mazarat par chadar, phool, nariyal or digar chije chadana kesa hai? uski niyat kya honi chaihie? Or ye mazarat pe jiyarat ke adab bhi byan farmae.
Jazakallah.
Salam, Aaj maine apne ghar khatme gausia karaya, jahan aane wale ladies ko jab eis line ki meaning batlaayee from mufti Muhammad faiz ahmad uowasi rizwi ki likhi book “shai al lillah kehny ka saboot†eis book mein se uoski meaning batlaayee. aye buzrug bandaye khuda , koi cheez do khuda ke waaste†eis meaning par aiteraz kiya gaya kyonki voh kehti hain ki eis meaning se aisa lagta hai hum khuda se nahi balki direct uonse(gausul aazam dastageer se ) maang rahe hain which is not sahi. And what is the meaning of ikramallah (it is at the end of the meaning in the bracket). maine apni taraf se koshish ki samjhane ki, magar they were not satisfied ya phir shayad mai uonko satisfied nahi kar payee. eisiliye baraye meharbani karke mujhe kuch daleelon ke jariye ya koi book ka hawala ya koi bayan ki link jismein eis baat ko clear kiya gaya ho Please batlaayein, badi meharnahi hongi, taki main uon logon ko bhi satisfied kar sakon, warna eis baat ko uchaal kar dil and aqeedah kharab karte der nahi lagengi .
uonka question yeh bhi tha kya eis line ko padhna compulsory hai eisko padhe bagair khatam pura nahi honga kya? kyonki baqi saari cheezein from quran sharif se hain, and additional daroode ibrahimi hai.
agar eis line ko naa padhte huye khatam karayein , then is it okay?
baraye meharbani rehnumayee kijiye
Jazak allaah khairan
Salam. Kisi wali kamil ki mazar par jana kaisa?? Aur khud us wali ki zaat se manga ja sakta hai ya nahen? Ya sirf uska waseela pesh kar k allah se manga jae?
Assalamualaikum
Hazrat, gumbad-e-khizra ke saaye par kuch arz karen. Kya gumbad-e-khizra ka saaya hai ya nahi.....?
Hamara aqeeda hai ke gumbad-e-khizra ka saaya nahi hai. par kuch aise tasaveer internet par shayee horahe hain jis se hum tazabzub ka shikaar ho rahe hain.......
Khuda hafiz
Assalamualaikum
Hazrat, Hum Khadehokar taiba ki janib rukh karte hue Jo swalaat-o-salaam padhte hain, is nek amal ke dalaail ya koi buzug ke aqwaal ya qiyaas ke upar agar aap roushni daalen to badi meherbaani hogi.......
Khuda hafiz