Asslam O Alaikam
janab meray ghar kay qareeb wali masjid main azzan aur juma kay khutbah kay ilawah bahot se deegar mazhbi muamlaat kay liyay loud speaker ka kasrat say istaamal hota hay masal kar tor per baghair kisi mehfil kay har waqt aulia e karaam kay qaseeday parhay jatay hain to kiya allah kay ghar (Masjid) main allah aur us kay rasool kay ilawa kisi ka zikar jaaiz hay.
Rana
Kya ALLAH k Siwa kisi ko mada k liye talab krna jaiz hai or agr waseela itna hi zaroori hai tw hmein phr b ALLAH se mangna cahaiye ALLAH ki marzi k wo kis waeelay se de....
please mrei rehnumai farmai mein bhout pareshan hun is question pe?
Shah Abdul Qadir Jo Shah Waliullah K Sahibzaday Hai Un K Mutaliq Ulma e Ahle Sunnat Ke Kiya Raihay Hai. Wo Shahi Aqeeday Ke Thay Ya Ahle Hadith? Aur Unho K Quran Ka Tarjuma Kiya Us K Mutaliq Kiya Kehtay Hai?
salam!nuzhatul qari me ye 2hadees shreef padha hu ek ye k 3 cheezo me nahusat h ghar, aurat, ghode me.dusri hadees ye padha hu k agr nahusat hoti to 3 cheezo me hoti ghar,aurat,ghoda.ab puchna ye h kis hadees ko bayaan kiya jaye nahusat h ya nahusat hoti?brah-e-kram jawab irshad frm kr ajr kamaiye.
asslamualaykum
DR.TAHIRUL QADRI KE BARE ME KUFR KA FATWA APKE NAZARIYE SE HAMRI ISLAH KARE ISSE PAHLE MERE SAWAL KA JAWAB NAHI DIYA GAYA MAGAR HUM APSE HAR SAWAL KE JAWAB KI UMEED RAKHTE HAI TO HAMARE IS SAWAL KA JARUR JAWAB DENE KI KOSHISH KARE HAQ.KI NUSHRAT HAQ.KI PEHCHAN MASLKE ALAHAZARAT YANE MASLAKE AHLE SUNNAT WAL JAMAT ZINDABAD