Kia Hazrat Muhammad(P.B.U.H) k parents ka inteqal halat e kufur pe hua hai mere kuch colleagues kehty hain Aur mene suna hai Hazrat Muhammad(P.B.U.H) k ane se pehle jahalat ka daur tha tw kia Banu Hashim k log us daur ka hissa nhi thy??? Rehnumai farma den shukrita
salam,
kiya farmaty hain ulama e deen aur muftiyan e sharah e mateen is bary main k Quran e majeed ki kis dua ko izafi alfaz k sath batoor dua parhna maslan rabana aatina wali dua k agy azab e qabar o hashar se mehfoz k alfaz ko zaid kr dena kesa??? kiya ye khilaf se mamul e sunnat hoga ya drust ?
jawab inayat frma kar shukriya ka moqa ata frmain
Assalam u Alaikum,
Agar koi Ghair Muslim (Christian) musalman k samny ksi farishty ki toheen kry to os ghair muslim k bary main islam kya hukum daita hai?
agar kici ka beta itna zeedi ho k baap ki bat na man raha ho or baap uske bare mn kice dosree shakas se ye ke de k aqar hesa or mosa b a jaen to ya nahn samjta ya wo b nahn samja sakte kia ye kufer nahn ha
plz reoly
Assalam alaikum Hazrat,
Mera Sawal ye hai ki Pyaare RasoolAllahصلی اللہ علیہ و آلہ و سلم ki ek Hadees hai jisme Unhone farmaya hai ki Main tumhare bich Quran aur Meri Ahle Bayt chodh kar ja rha hoon jo ise mazbuti se thame rakhega wo kabhi gumraah nhi hoga.
Lekin agar koi Syed Kisi Sahaba ya Kisi WaliAllah ki Shaan me gustaakhi kare to hum use gumraah kahenge aur agar tauba na kare to kafir.Par baaz log khte hain ki Pyaare Aaqaصلی اللہ علیہ و آلہ و سلم ne jab farmaya hai jo Quran aur Ahle Bayt ko thaame rahe wo kabhi gumraah nhi hosakta to ek Syed kaise kabhi gumraah ya kafir hosakta hai?
Assalam. With respect to question no. 4060. it was written as \"Rasool ALLAH azzawajal Salallahu Alayhi Wassalam\". Azzawajal is for ALLAH of \"Rasool ALLAH\".What is the hukm for this? Jazak Allahu Khair.
علماء أمتي كأنبياء بني إسرائيل(Ulama e Ummati ka ambiyaai bani israeel)
Hazrath, upar bataai hui ibarat ki sehat aur hawala, barae karam inayat farmaden.
Aur agar koi shakhs ye kahe ke \"Huzoor ki ummat me chand log aise bhi hain ya honge jinka ilm ambiya e sabiqeen ke ilm se zyada hoga\". to kaya hukm hoga?
Jaza Kallahu Khairan
Assalamwalykum WA Rehman Ullah WA Brakatuhu
Mufti Sahab,
I have a question, is going to Tableegh Jamat is fine/good?
Tableegh says,they are on the steps of All Sahaba R.A who left their homes to spread Islam.
They give taleem/Hadees from FAZAILI E AAIL, Is this agreed by all Ullema.
Can I have the whatsapp/phone number of Ullema to get the mashwara and Fatwa
Salam,
kiya farmatyhain Ulama e Deen wa Muftiyan e Karam is bary main keh Rooh Ko makhlooq kehna kesa kia Rooh ko hukm e Elahi kay teht makhlook keh sakty hain?? aur agar zaid ye aqeda rakhy keh Rooh jo Allah nay phonki wo aisa faiz hai jesy aik mom bati ki loo se dosri mombati ko lo ko aag laga li jaye to pehi mombati ki lo ki aag main farq nai ata aisi hi misal rooh ki hai..... ye aqeeda rakhna kesa.. Mufasil wa mudalil jawab se arasta farmain
Wssalam maa al ikram
saail:
Syed Ammar Qadri Attari
Assalam o Alaikum WWB,
aik aisa shaaks jo namaz , roza , zakaat ko nahi maanta ,marnay k baad saza o jaza ko nahi maanta ho ,, sood ko jaiz kehta ho sood ka lain dain karta ho ghair sharai ghair islami zindagi guzaarta ho aur guzaar raha ho.
1. kia aisay shaks se aik deen daar musalman aurat ka nikkah karna jaiz hai ?
2. Agar nikkah kar diya jai tu iss nikkah ki sharai hasiyat kia hogi ? shariyat ka kia hukum hai ?
meharbani farma k tafseelan jawab irsaal karye shariyat o deen islam ki roshni mai .