Assalam o alaikum wa rehmat ULLAH .
maloom ye karna hai k kia sahih bukhari aur sahih muslim kisi barelwi mutrajim ki hui , mojood hain ? agar haan to kis mutrajim ki Li jayey ?
jazak ALLAH
pls bta dain kia market ma original products ki jo copy aati ha wo laini jaiz ha??? kio k copy products ki price original sa bht kum hoti ha and laita wa buyer seller ko pata hota ha k ya copy ha
Agar ek Shahks nay ksi dosry shakhs k samny aisi bat ki k sunny waly ko os main Toheen E NABI mehsus hoi or os ny sun kr dil or zuban se osy kafir kh diya. Kuch arsa bad jb osi bat per dobara ghor kiya gya to os main Toheen hony or na hony dono ki possibility nikal aye. Ab jis nay Kafir jana tha os ka kya sharai hukum hai or os k liay ab aisi sorat main bhtr faisla kya hai???? or es amal se os shakhs ki ksi Buzurg se Ba\'ait main koi farq para ya Nahi?
Sir mera swal ya ha k...... peeth yani pakhany wali jage jis ko dubar b khty ha k ird gird jo hair hoty ha kia un ko utarna b usi tra farz ha jesy zara naff hair?
in ko kesy saf keya jay ga ustry sy ya phir kenchi sy?
or kis had tak saf keya jay ga?
or kitni jaga sy?
keuk wha pr hath b asani sy nhi jata or nigha b?
Assalamualikum. mufti sahab my ne noorclinic.com pe pada hai ki mushtzani haram nai hai iske bare me quran aur ahadees me hatam hone koyi baat nahi kahi gayi aur us website hai ki hanafi r.a. isko majburi me jayez qarar diye bolk hai aap mere is ka details se jawab dijiye aur us website me likha hai mushtzani se kuch bi problems nahi hote bolre science me iski asal nai hai bolre.
Asalam O Alekum mufti sahib! Mera sawal ye hai k kisi shaks ne bachpan mein chorian kii ab jawani mein yaad nahi kitni chori ki or jis k ghar mein ki unhein detey huey bi sharam aay ab ab wo paisey kis trhan chukey kya kisi ghareebon miskino ko khana khila sakta hai wo uski taraf se ?
assalamalikum warahmatullahi wabarkatuhu muazziz ulmaye ikraam jya farmate haul ulemaye seen is maslaye zair me ki koi larki jo gair Muslim thi magar mazhabe islaam ko bhut pasand karti hai jiske bina pe usne ek musalmaan larke se nikaah kar liya or apna talooq apne ghar se khatam kar diya lekin an uske maa ki tabiyat khraab hai kya wo apne gair Muslim maa ki khidmat kar sakti hai or azoore sariyat ka kya hoqm hai kis had tak wo khidmat kar sakti hai ya nahi
A O A, Mein ek boht ehm sawal ly kar hazir hua hun, jaisy aapko pata he ky har mard ki shrm ghah ky neechy 2 aaza hoty hen jo latky hoty hen i do\'y know urdu mein usy kya kehty hen, mera sawal aap sy ye ky mera aik he jabky har mard ky 2 hoty hen, ek or baat ye he ky mein 21 saal ka hun meri sunnat paidaishi hen, matlab mein paidaishi sunnati hun, mujy dunya mein me nai kiya gaya, Islam kya kehta he in bary mein, ky mera sirf ek he 2 q nai. shukriya. waiting.
assalaamu Alaikum Wr Wb..
Kya hum desh ki aazadi ka din mana sakhte hai ya phir agar school aur college me manaya ja raha ho to usme shamil hosakhte hai agar usme kuch ghair islamic kaam na ho rahe ho(jaise music and dance) ?
Waise hi dusre national days jaise republic day,childrens day,teachers day ?
Ye din to koi mazhab ke nahi hai...ye hamare desh ke hai ?
Kya hum ye mana sakhte hai? manane ka matlab sirf isme shirkat karna aur khush hona ya speech dena?
AOA.janab mere sawal ye hy k mujay ye kese pta chal skta hy kisi k ghr mn paka hua gosht halal hy ya haram hy
q k aj kal haram gosht b frokhat ho rha hy market mn