Aslam-o-Alaikum, mera sawal hai ke kia 2 bandon se jaamat ho jati hai yani ke aik imam aur aik peechey muqtadi ho,ager aur koi banda na mile aur neeyat ho ke jaamat ka sawab mil jaye isliye 2 bandon se jaamat ho jati hai ke nahi?
Salaam,
suwaal: yeh meri sister ka suwal hai ke maghrib ki sunnate mo\'kada namaz ke akhir mai dua ke bad salam pherne se pehle khurooj e reeh ki waja se un ka wuzu toot gaya.phir unho ne salaam pher liya. tou kya un ki namaz hogai ya unhe namaz lotani pare gi. aur kya is ke liye tauba bhi karni pare gi.
Allah aap ko jaza ata farmae.
salaam. Muft sb main ye jan\'na chahta hoon.. agr ksi par qaza namaz ada karna hoon... maslan 50 fajar ki qaza karna hoon.... to kya aik sath aik hi raat mn 50 namazen ada ki jaa skti hn???? Jawab De Kar Sawab Kamaiye.... Shukriya
Assalam o alaikum wa rehmat ULLAH .
aik shukhs hai jo k 5 waqt ki namaz baqaidgi se apnay GHAR pay hi ada kurta hai . maloom ye kurna hai k kia uski namaz \"ADA\" ho jati hai ?
kiyunkay kuch Log ye kahtay hain k ghar pay parhi gai namaz \"QUBOOL\" nhn hoti (bila uzr e sharai kay) agr aesa hai to ye hadith Q mojood hai k jamaat se namaz tanha namaz se 27 darjay afzal hai ?
Bara e mahrbaani tafseeli jawab de k is confusion ko door farmayey . jazak ALLAH .
Aslam o Alikum
Topic: NAMAZE JUMA
Sir main nay muktalif ulma ahle sunnat k fatway paray hain(fatawa rizvia, fatawa Amjadia, fatawa urap, fatawa hamdia,fatawa Faize Rasool, fatawa Waqaria) sub nay aik he bat ke ha k village main juma nahi hota. kise fatway main qaran or hadees se koi daleel nahi ha. mojay qaran o hadees se batain k village main juma kun nahi hota.
Jab k Imam Ghazali R.A farmaty hain(kimia Sadat. Babul Juma) k village ke Masjad main 40 Maqeem balig admi hon to juma ho jata ha.
agar nahi hota to Imam Ghazali nay kun kha k hota ha.kia Mulvi sehban Imam Ghazali se zaida paray lakhain hain ? tafseel se agar ho sakay to likha kar daleel se jawab dain.
God Bless u
Regards
Basharat Ali Tahir
Chak no 68 R.B Fsd
0345-7869868
batahir@yahoo.com
Aslam o Alikum
Agar Imam sb Nabina hain lakin wo Hafize Qaran b hain. Or Islam k tmam tarah k masile se b waqfeet rakhtay hain to us k pechay namaz ho jati ha. Or us ko mustaqal tor per Imam rakha ja sakta ha. Us k pachay namaz parany main koi karahat to nahi ha. Ya koi makrooh to nahi ha. Qaran o hadith ke roha se tafseel se jawab dain.
God bless u
Basharat Ali Tahir
Chak No.68/R.B Faisalabad
0345-7869868
batahir@yahoo.com
Salam to all.
Mera sawal yeh hai k kyaa Namaze \"Asr aur Isha\" ki Sunnat-e-Ghair moqada ki 1st Rak\'at mien Surah Fatiha se start karni chahiye aur 2nd Rak\'at mien Duaye Masurah tak parh kar baghair Salam phaire khare ho jana chahiye aur 3rd Rak\'at se Sana parh kar Start karni chahiye.
So please aap iss ke bare mien rehnumayi farma dien k kyaa yeh Tariqa sahih hai ya phir galat hai.
Salam
Mera Sawal ya ha k agar namaz magrib ka foran baad Namaz e Fajar ka waqat ho jai to namaz Isha kab paraen gai
please jawab atta farma dejea Allah Aap ko donu Jahan ki Balaiyan Atta farmay
Salam
Abdul Rauf Attari
Germany
farz namaz jo rakaten faut ho jati hyn amam k peche unhen kis tarteeb se parhna chahiye? or un mei imam agar last rakat parh raha hy tu durood or akhri dua parhni chahiye ya sirf atahiyat tak or baqi jab hum khud last rakat mei puhnchen tu?